
Na Tha Kuch To Khuda Tha, Kuch Hota To Khuda Hota,
Dabooya Mujh Ko Hone Ne, Na Hota Mein To Kia Hota..
Hua Jab Gham Se Yun Be_His To Gham Kia Sar Ke Katne Ka,
Na Hota Gar Juda Tan Se To Zanoo Par Dhara Hota…
Hui Muddat Ke ‘Ghalib’ Mar Gaya, Par Yaad Aata Hai,
Wo Har Ek Baat Pe Kehna Ke Yun Hota To Kia Hota…
Ghair Lein Mehfil Main Bose Jaam Ky
Hum Rahein Yun Tashna-Alab Paigam Ky
Khat Likhen Gy Garchy Matlab Kch Na Ho
Hum To AashiQ Hain Tumhary Naam Ky
IshQ Ny Ghalib Nikamma Kar Diya
Wrna Hum Bhe Admi Thy Kaam Ky
Aaiinaa kyuuN na duuN K tamaashaa kaheN jise
Aisaa kahaaN se laauuN K tujhsaa kaheN jise
Hasrat ne laa rakhaa terii bazm-E-Khayaal meN
Guldastaa-E-nigaah suvedaa kahe.n jise
PhuuNkaa hai kisane gosh E muhabbat meN ai Khudaa
Afasuun-E-intazaar E tamannaa kaheN jise
Sar par hujuum-E-dard-E-Ghariibii se Daliye
Vo ek musht-E-Khaak K seharaa kaheN jise
Hai chashm-E-tar meN hasarat-E-diidaar se nihaaN
Shauq-E-inaaN guseKhtaa dariyaa kaheN jise
Darakaar hai shiguftan-E-gul haaye aish ko
Subh-E-bahaar pa.nbaa-E-miinaa kaheN jise
“Ghalib” buraa na maan jo vaaiz buraa kahe
Aisaa bhii koii hai K sab achchhaa kaheN jise
Yeh na thee hamari Qismat K wisaal E yaar hota
Agar aur jeete rahtay, yehi intezaar hota
Tere waa’de par jiyee ham to yeh jaan chhooT jana
K khushi se mar na jaate!!! agar intezaar hota
Koi mere dil se poochhe, tere teer E neem kash ko
Yeh khalish kahaaN se hoti, jo jigar k paar hota
Yeh kahaaN ki dosti hai K bane haiN dost naaseh
Koi chaaraa saaz hota koi Ghamghusaar hota
KahuN kis se maiN K kya hai shab E Gham buri bala hai
Mujhe kya bura tha marnaa agar aik baar hota
Hue mar K ham jo ruswa hue kyuN ka Gharq E dariya
Na kabhi janazaa uthta na kahiN mazaar hota
Yeh masaael E tasavvuf, yeh tera bayaan ‘Ghalib’
Tujhe ham wali samajhte Jo na baadaakhaar hota
Dil E naadaaN tujhe huaa kya hai
Aakhir iss dard kii davaa kya hai
Hum haiN mushtaaQ aur woh bezaar
Yaa ilaahee yeh maajraa kya hai
MaiN bhi muNh me zabaan rakhta huN
Kaash poochho K muddu’aa kya hai
Jab K thujh bin naheeN koi maujood
Phir yeh hangaamaa ae Khuda kya hai
Yeh paree chehra log kaise haiN
Ghamza O ishwa O adaa kya hai
Shikan E zulf E anbareeN kyuN hai
Nigah chashm E surma sa kya hai
Sabza O gul kahaaN se aaye haiN
Abr kyaa cheez hai, havaaa kya hai
Hum ko un se wafa ki hai ummeed
Jo naheeN jaante wafa kya hai
HaaN bhala kar tera bhala hogaa
Aur darvaesh kee sadaa kya hai
Jaan tum par nissaar karta hooN
Main naheeN jaanta du’aa kya hai
MaiN ne mana K kuchh nahi ‘Ghalib’
Muft haath aaye to buraa kya hai
ChaNd meN jo pariyaaN rahti haiN
Hum ko milte dekh chuki haiN
In aankhoN me kyuN rahti ho ??
Jo har dam roti rahti haiN
Laakh nikaaluN dil se lekin
Khaab nigoRe sab ziddi haiN
Us malakooti husn ke, logo
Jitne Dhab haiN, aafaaqui haiN
Aaj jise sun kar tum roye
Wo baateN mujh per beeti haiN